Satyamev Jeyte
Surkh jorhe mein ghar se vidaa karke
Kitna khush us din uska baap hoga
Duniya itni ghinauni bhi ho sakti
Paapo'n mein koi aisa bhi paap hoga
Deepak shaadi ke bujhe bhi Nhi ab tak
Badan aag ki lapto'n mein jale rehte
Jahaa'n jhuth ka hota hai bolbala
Fir kyun kehte hain Satyamev Jeyte
Dard dil mein karke dafan har dam
Naye raaste jeene ke dhundta hai
Doodh peene ki umar mein baal (orphan child) aksar
zariye gamo'n ko peene ke dhundta hai
Aansu kisi ko Nhi dikha paata
Umar kat jye gamo'n ko hi sehte
Jahaa'n jhuth ka hota hai bolbala
Fir kyun kehte hai'n Satyamev Jeyte
Mujhe jeene se pehle hi maar doge
Mai'n Hun woh Jo raaje rajaan janti
Ladka ladki ka bhed hai kyun akhir
Maa toh khuda ka bheja insaan janti
Koi samajhke bhi na samajh paya
Aansu maayo'n ki aankho se kyun behte
Jahaa'n jhuth ka hota hai bolbala
Fir kyun kehte hain Satyamev Jeyte
Yeh Gurudware Mandir Masjid
Bas dikhawa sa banke reh gye hai'n
Laalach waha'n bhi kursi ka nahi chhorha
Apni ego mein hi dekho beh gye hai'n
Baat aman-o-shaanti ki kya karni
Yeh toh aapas mein hi dekho larhe rehte
Jahaa'n jhuth ka hota hai bolbala
Fir kyun kehte hain Satyamev Jeyte
Aise Jashn-e-Azaadi ka kya matlab
Agar soch hai apni gulaam yaaro
Izzat aurat ki aaj ke daur mein bhi
Sareyaam hai hoti nilaam yaaro
Aise mulq ka khwaab mai dekhta hu'n
Jahaan sirf aur sirf insaan rehte
Jahaan satya ka ho jye bolbala
'Noor' sab kahe'n Satyamev Jeyte
Satyamev Jeyte Satyamev Jeyte..
~Noor